1. Mahol badla, dil sambhla
Andheri si zindagi mein sitara ujla,
Chand lamhon mein itna kuch badla
Zindagi bhar aisa saath rahe apna.
2. Ishq ne gaalib Nikamma kar diya
Aasuonse pura Samundar bhar gaya
Aisa kaisa Jaadu hain aapka
Dil ko dil se chura le gaya.
3. Iss pagal dil ka kya karu Jo abb mera na raha ,
Kaisa samjhau usse Jo kabka mujhse loot gaya,
Abhi to aapko bhulana bhi Mushkil ho gaya hain,
Yeh kaisa jaadu hain aapka jo Hume humse loot gaya.
4. Aapka pata nahin par
Hum to dil gawaa baithe hain,
Raasta toh pata nahi par
Manzil paane nikal pade hain,
Aakhonki tarah dil ko bhi
Padi aadat hain aapki,
Iss pyaar ke raah par bas
Kami hain aapki.
5. Tumhari hasi se hi to Sambhle the,
Iss dil ke pass hi to thahere the,
Na chahte hue bhi phir se
Pyaar kar baithe the,
Dhokha nahi hoga yeh khwaab
Dekh baithe the.
6. Pehli mulakat aapke saath
abhi tak yaad hain,
Vo saari mulakate dil mein
Abhi tak salaamat hain,
Bas vo raaste anjanese ho gaye hain,
Saare lamhe vahi kahi kho gaye hain.
7. Pass na hote hue bhi
Aapko khone ka darr laga rehta hain,
Har lamha dil sirf
Tammanah aapki karta hain,
Dil ke dhadakna bhi
Ab sazaa sa lagne laga hain,
Yeh dil to sirf aapki raah talashne laga hain.
8. Choti si baaton se Khushiya
Sawaarta hoon,
Andheri so zindagi mein sitara
Chahta hoon,
Milne ka tumse bahana
Chahta hoon,
Aur kya batau
Mein tumhe mujhse Zyaada
Chahta hoon.
9. Safar hain tu Zindagi ka,
Vo kabhi pura na ho payega,
Dhadkan hain tu dil ki,
Aise thodi na tuzhe
Koi aur le payega.
10. Milte to aaj bhi hain,
Woh Pal bitaye jamana ho gaya,
Mohabbat to aaj bhi karte hain,
Yeh chupate chupate,
Ek aur sher likh gaya.